Friday, January 2, 2009

Ab saup diya iss jeevan ka

ab saup diya is jeevan ka sab bhar tumhare haatho me
sab bhar tumhare haatho me
hai jeet tumhare haatho me aur har tumhare haatho me
aur haar tumhare haatho me
mera nishchay bas ek yahi
ek baar tumhe paa jaau me - 2
arpan kar du duniya bhar ka sab pyar tumhare haatho me
sab pyar tumhare haatho me
jo jagg me rahu to aise rahoo
jyon jal me kamal ka ful rahe 2
mere sab gun dos samarpit ho kartar tumhare haatho me
bhagwan tumhare haatho me
yadi maanav ka mujhe janm mile to tav charno ka pujari banu
is poojak ki ek ek rag ka ho taar tumhare haatho me
ho taar tumhare haatho me
jab jab sansar ka kaidi banu niskaam bhav se karm karu
niskam bhav se karm karu
fir ant samay me pran taju
nirakar tumhare hatho me
saakar tumhare haatho me
mujhe tujhme bas bhed yahi
main nar hoon tum narayan ho
main hoo sansar ke haatho me
sansar tumhare haatho me 2
ab saup diya iss jeevan ka sab bhar tumhare haatho me
sab bhar tumhare haatho me
hai jeet tumhare haatho me
aur haar tumhare haatho me 2

1 comment:

  1. इससे मिलता जुलता एक भजन सुना है , जिसकी पहली चार पंक्तियाँ यही हैं.

    ReplyDelete

हम घूम चुके बस्ती-वन में / इब्ने इंशा

हम घूम चुके बस्ती-वन में इक आस का फाँस लिए मन में कोई साजन हो, कोई प्यारा हो कोई दीपक हो, कोई तारा हो जब जीवन-रात अंधेरी हो इक बार कहो तुम म...